Monday, September 8, 2008

SHER - 'dikhtaa hai'

Got some responses from people telling about the SHER I posted.
Hence, I am posting an old SHER I wrote few years back when I was in college.
Hope people like it.

chehroN pe kai chehre, nahiN koi kisi se judaa
laakh dekhooN fir bhi,chehroN mein nahiN koi farak dikhta hai

paak insaaf ki ummeed kahan tak javaN rakhoon munsif
tere darbaar mein har jins ghalat dikhtaa hai

[paak insaaf=clear justice,munsif=judge,darbaar=court,jins=things,articles]

himmat-e-naakhuda ya patwaar ka bharosa karooN
jasaamat-e-beher jab door talak dikhtaa hai

[himmat-e-naakhuda=guts of oarsman,patwaar=oar,jasaamat-e-beher=largeness of ocean]

javooN to javoon kahaN,simt jo gum huaa hai
farsh to CHHat,CHHat deewar ki tarah dikhtaa hai

[simt=direction,gum=lost,farsh=floor,CHHat=roof]

fugaan sunta hoon uski per paar kaise paar jaaoon
jo dekhoon qaamat-e-deewar to falak dikhta hai

[fugaan = cry of pain,qaamat = height,stature,qaamat-e-deewar = wall's height,falak = sky]

No comments: